Saturday, November 24, 2018

YEH DUNIYA RAHE HAMESHA KHUBSOORAT !!!

"Bhagwan ne sab ke liye 
sab kuch sajaa ke raakha hain 
pehle se hee, 
aur ussey hum 
kahete hain KUDRAT. 
Ek naastik ko bhi hain pataa, ki koi toh 
hain ek maalik joh sab kuch ekdum 
baiggyanik niyam o se banaaya hain, 
isiliye hum ush bhagwaan ko 
karte hain IBADAT. 
Dil mein jab kisi ke liye 
saccha pyar ho jaaye, 
tab yehi dharti laagti 
hain jaise JANNAT. 
Jab yeh dharti tumko jahannum jaisi 
laagey, tab samajhlo 
kahi naa kahi, tumharey dil mein 
hain bahut saari NAFRAT. 
Bhagwan bhi saayed kabhi kabhi sochta 
hoga ki insaan ko itni acchi dimaag kyon 
diya, kyon ki kabhi kabhi khatarnaak 
hoti hain yeh insaani FITRAT. 
Shakti, Moksh aur Paisa ke maayajaal 
mein aisa faansh jaata hain insaan, 
ki aasaan nahi hota 
badalna unki AADAT. 
Har insaan ke andar hoti hain ek aatma, 
joh boorey waqt pe shasth indriyo ko 
jaagata hain aur ehsaas dilaata hain 
bhagwan ya bhooth ki AAHAT. 
Insaan hee aisa ek jaanwar hain, 
jisse saamaajik jaanwar kaha jaata hain, 
aur yehi insaan ka kabhi khatam nahi 
hota kisi bhi nayi khoj ki CHAHAT. 
Kuch insaan toh maidaan pe utarne se 
pehle hee zindagi se haar maan lete hain 
aur kartein hain bahut saara NAALISH. 
Inh insaan o ke dimaag thanda raakhne 
ke liye bhi kuch insaan hain, joh karte 
hain inke sarh pe tel MAALISH. 
Har insaan ka 
sapna ho POORI, 
yeh nahi 
hain JAROORI, 
ladhne ki taaqat toh tab milti hain jab 
kuch sapna rahe jaaye ADHOORI. 
Agar Insaan kabhi naa 
bhooley INSANIYAT, 
karein aapni zindagi 
se MOHABBAT, 
himmat se saamna karein 
koi bhi AAFAT, 
gussey mein naa bhooley 
apni SHARAFAT, 
toh yeh duniya rahe 
hamesha KHUBSOORAT." - Arindam Sain

No comments:

Post a Comment