"Unke dil ki Rani woh hee hain,
woh hee karti hain unke dil mein RAJ;
woh hee sambhalti hain unko, jab karta
hain 'Shankara tandav', bann ke NATARAJ.
Parvat ka naam hain KAILASH;
wohi hain unka aasli NIVASH.
Gussa zaroor aata hain unko, phir bhi
unka dil hain seedha sadha aur BHOLA;
Nandi aur Bhringi se poochlena,
ke kitna hain woh DILWALA.
Gusse mein Ganesh ka sarh ko
kar diya tha uske sharir se alag,
par Brahma ka karishma dekho,
Ganesh ko bana diya GANAPATI;
Sadhu teh woh, Sati ne unko le aaye
dampatya jeevan mein, par Daksh ke
yajna ke aag mein kud gayi Sati, bhool
gayi thi sayed, ke zinda hain unka PATI.
Unhone kiya aisa 'Rudra taandav', ke knaap
utha poora trilok, phir Vishnu ne chorh
diya apna Sudarshan Chakra aur phir
ekyavvan tukde ho gaye 'SATI';
par Shakti thi woh, khud hee ek aag
thi, phir laut ke aayi unke zindagi
mein, par ish baar, naam
badal ke ho gayi 'PARVATI'.
'Trimurti' ka ek murti woh bhi hain,
joh karte hain sab kuch KHATAM;
'Mahishasur' ko maarne ka kisi
mein bhi nahi tha DUM.
Eksaath 'Trimurti' ne mil ke, banaya
ek 'Adi Shakti' ka naya roop, joh
hain bahut hee SHAKTISHALI;
Sher ke upar baitha yeh
dashabhuja Devi, naam
hua 'Durga' ya 'SHERAWALI.
Jung chali nau raatri aur dus din
tak, aur har nau raatri mein Devi
ne liya ek naya roop, aur 'Navaratri'
ke baad aaya 'Vijaya Dashami' ke DIN;
Sab se khatarnak thi 'Chandi' ka roop,
jab Kumbhkaran neend se utha, Brahma
ne Ram ko kaha, ki jung jeetna muskil
hain Durga Devi ke aashirvaad ke BIN.
Sirf 'Daruka' ko maarne
ke liye, Sati se mil ke
unhone banaaya 'KALI';
par woh sab se khatarnak nikli, rokna
pada Devi ko, aapne pati ke upar pairh rakh
diya, sharma gayi aur apni jeev NIKAALI.
Parvati ki behen, 'Ganga' ko thoda
hee sahi, par ho gayi thi Parvati ke
patidev se ishq, par woh na PHISLAA;
par jab Ganga dharti pe giri,
tab unhone aapne lambe baalon
se, uski gati ko SAMBHAALA.
Phir bhi Parvati gussa
ho gayi, bharosha na tha,
unke upar, joh hain
unki pati PARAMESWAR;
unhone tab pyar se bola, 'tum hee
ho mere ardhangini, tumhre bin yeh
zindagi adhura, yeh dekho mera roop,
isko kahete hain 'ARDHNARISWAR'."- Arindam Sain