Sunday, August 19, 2018

AGAR THODA AUR EK SAAL RUK JAATE, TOH SAAYED SAN 1948 MEIN AZAADI KE BAAD, AKHAND RAHETA YEH BHARAT !!!

"Desh ko jaise koi cake samajh ke
kar diya do TUKDA.
Naa jaane kitne logon se cheenh liya gaya
uski roti, makaan aur KAPDA.
British logon ne, naa jaane
maare hain kitne DAANDEY;
phir bhi British logon ko
hamesha yaad rahega, Mangal PANDEY.
British logon ko pataa tha,
ki Mahatma Gandhi hain AHIMSABAADI.
Par Hindusthani o ka kranti dekh ke itna darr gaya, ke Bhagat Singh,
Rajguru aur Sukhdeb ko kahene laage AATANKBAADI !
British Police ko chakma dene mein
maahir tha Ramprasad BISMIL.
Inh krantikaari o ne toh
jeet liya tha deshbaasi o ka DIL.
Ush samay sab Hindusthani ek saath
maanaate teh HOLI, DIWALI aur EID.
Bharat Maata ki swadhinta ke liye, 'Ekbaar bidaaye de
Maa' bol ke, Khudiram Bose huye teh SHAEED.
British force phir bhi aaraam kar raha tha kyon ki
chaaron taraf jyadataar tha GANDHIGIRI.
Rashbehari Bose ke dimaag mein yeh baat ghush gaya tha,
ki Hindusthan ko aab chaaiye, Saamarik KRANTIKAARI.
Azad Hind Fauz le ke, kadam kadam badhate huye, Moirang
mein Hindusthan ka tiranga laheraya Netaji SUBHASH.
Yeh khabar sunn ke, naa keval Hindusthani, walki saarey
British birodhi mulk ke log bhi anand se bol uthey, 'SABBASH'.
Kaash ush samay America ne Japan ke upar
nuclear bombing naa ki HOTI;
toh Netaji Subhash ke Azad Hind Fauz, ush British force
se azaad kar deti woh akhand Bharat ki DHARTI.
San 1947 mein Hindusthan chorhne se pehle, British
samrajya ne aisa ek bishbriksha BOYA;
naa jaane kitne shaeed veer jawan o ke
maa o ne kitni hain ROYA.
Hindusthani kraantikaari o ne rok diya tha
British saamrajya ka VIJAYRATH.
Agar thoda aur ek saal ruk jaate, toh saayed san 1948
mein azaadi ke baad, akhand raheta yeh BHARAT."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment