Saturday, May 18, 2024

PYAR HEE TOH HAIN, KHAALI ROOP BADALTI HAIN, KABHI RADHA TOH KABHI MEERA !!!

"Koyle ke khaan mein 
milta hain HEERA; 
pyar hee toh hain, khaali roop badalti 
hain, kabhi Radha toh kabhi MEERA. 
Yeh mohabbat ki raat khatam na 
ho, naa aaye kaal ki SAVERA; 
naagin kahe, 'itni jaldi na jaao, aur 
naachao mujhko, aye mere SAPERA'.
Ishq karna bhi ek nasha hain, jish 
mein ek baar agar ho jaao CHUR; 
toh bahut muskil hain rahena, 
apni mohabbat se DUR.
Zaroori nahi hain ki, 
har ishq ho AASAAN;
kambhakt Ishq hain yeh, 
nahi hain koi AIHESAAN.
Yeh mohabbat ho bhi sakti 
hain hawaa ka JHOKHA; 
yeh mohabbat kabhi yunhi 
de sakti hain DHOKA.
Phir bhi mausam ki tarah, yeh pyar 
aati hain, badal ke apni roop aur RANG; 
le ke nayi umeed, ullas, 
urjaa aur UMANG."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment