RADHIKA: 'Aao Ghanshyam,
laagao mujhko RANG;
Holi ka hain tyohaar, khelenge
Holi aaj tumhare SANG.'
GHANSHYAM: 'Rang o se bhara
yeh jeevan, zindagi hain ek RANGOLI;
aayi hain vasant ka yeh khubsoorat
mausam, aao aaj khele hum HOLI.'
RADHIKA: 'Ish vasant ke mausam
mein, naa poocho yeh dil ki HAAL;
aur bhi pyar karne ka mann kare tum
ko, bhookh bhi nahi laagti AAJKAL.'
GHANSHYAM: 'Apne dil ko
khul ke pyar karne do, usko
naa poocho koi SAWAAL;
tumhare saamne khada hain tumhari
Krishna, aao Radha, laaga doon tum
ko thodi si laal GULAAL.'"- Arindam Sain