Tuesday, September 11, 2018

DO RAJYA KE BEECH, PYAR KA SILSILA !!!

"Ek hapta pehle, aapni doston
ke saath Dilkhushnagar ke mele me
gayi thi Mohabbatganj ke RAJKUMARI.
Ush mele mein dangal pratiyogita dekhne
aaye teh Dilkhushnagar ke Rajkumar, aur usse 
dekhne ke baad, Indumati ki dil ho gayi CHORI.
Nayan o se miley teh NAYAN,
do dil teh BECHAIN.
Ek din suraj dhalne se pehle, 
ek chitthi le ke aaya ek KABOOTAR.
Rajkumari khushi se naachne laagi, kyon ki pyar bhari 
shayari joh tha ush prempatra ke BHITAR.
Cholamandalam rajya ke Raja
kiya yuddh ka AYELAAN.
Ush yuddh mein chala gaya
Mohabbatganj ke Raja ka PRAAN.
Poorey Mohabbatganj mein huyi naa
jaane kitni hee maut aur BARBAADI.
Cholamandalam Rajya ke Raja karna
chahte teh Indumati se SHAADI.
Yeh khabar milney ke baad, Dilkhushnagar ke Raja, 
Indivar ne Cholamandalam pe kar diya AAKRAMAN.
Cholamandalam ke Raja, Pandaveswara ko samajh mein na 
aaya, kyon achaanak Dilkhushnagar chahta hain ye RANN.
Yuddh mein, Pandaveswara huye ghayal, aur 
Rajkumar Indrajit ne aapne kabje mein kar liya
Mohabbatganj ka QILA.
Indivar ko koi aitraaz naa tha, Indrajit baaney 
Indumati ki pati, aur ush ee din se shuru huya do
rajya ke beech, pyar ka SILSILA. "- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment