"Agar hain DUM;
toh badhao KADAM;
kar ke Bharat Maata ko NAMAN;
jung ke maidan mein khatam karo DUSHMAN.
Koi bhi jung jeetna
nahi hain AASAAN;
kabhi kom naa hone denge
duniye mein yeh Hindustan ki SHAAN.
Zameen ho, ya samandar,
ya ho AASMAAN;
Bharat maata ki raksha mein sadaa hain taiyaar,
kaandhon mein liye yuddh ka SAAMAAN.
Lakh kar le hamaare
dushman KOSHISH;
nakaam kar diye hain hum ne,
har tarah ke SAAZISH.
Kashmir se le ke Kanyakumari
tak aur Kutch se le ke Kohima
tak, jaahan bhi le dushman
hum se PANGA;
ek baat dimaag mein baithaale,
ki yeh hain naya Hindustan, palat ke bahut
maar maarenge, aur garv se laheraayega
Hindustan ki TIRANGA."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment