"'Rudra Sengupta' aaye teh gaaon
mein Durga Puja ke WAQT;
'Salaam Bombay' film mein, kaun
likhta tha doosro ke liye KHAT;
kya pataa hain aapko, kaise
huya tha 'Ek doctor ki MAUT' ?
Kaun tha 'Chunargadh'
ke 'BADRINATH' ?; '
Ratnakar Dasyu' banaa 'Wrishi Valmiki',
sunke 'Narad Muni' ki BAATH !
'Lunchbox' ka khaana khaane ke
baad kho gaya tha DIL !;
'Slumdog Millionaire' se baath kar ke,
kya kuch huya tha 'HAASIL' ?
Sher toh murrh ke dobaara dekha hee
nahi, phir bhi badiya tha woh 'Life of PI';
kisko kab kya 'Rog' ho jaaye, kisiko nahi hain
pataa, 'Yeh Saali Zindagi' aisi hee hain BHAI.
'Madaari' ka 'Karwaan' hain
yeh, yeh mat BHOOL;
naa jaane kitne 'Knock Out' ho gaye, jab
maidan mein ladhne aaye teh 'MAQBOOL.'
'Qarib Qarib Singlle' ho,
padhe ho kya kabhi
woh kitaab, 'The NAMESAKE';
kabhi kabhi 'Blackmail' bhi hota hain, kyon
ki aksar 'Life in a Metro' mein, yeh pyar,
mohabbat jyadatar hote hain FAKE.
'Hindi Medium' ya
'Angrezi Medium' naa
shikhao ussey, 'Piku' ka
dost hain yeh 'BILLU';
haathon mein 'Talvar' nahi, par daudta
hain 'Paan Singh Tomar' jaisa, aur gale
ki awaaz sunke laagta hain ki, yehi
hain Mowgli ka pyara dost, BALOO.
Naam ish sahabzaade
ka hain 'IRFAN';
abhinay ki duniya mein inhko hum
kahete hain, 'Karamati KHAN'."- Arindam Sain
mein Durga Puja ke WAQT;
'Salaam Bombay' film mein, kaun
likhta tha doosro ke liye KHAT;
kya pataa hain aapko, kaise
huya tha 'Ek doctor ki MAUT' ?
Kaun tha 'Chunargadh'
ke 'BADRINATH' ?; '
Ratnakar Dasyu' banaa 'Wrishi Valmiki',
sunke 'Narad Muni' ki BAATH !
'Lunchbox' ka khaana khaane ke
baad kho gaya tha DIL !;
'Slumdog Millionaire' se baath kar ke,
kya kuch huya tha 'HAASIL' ?
Sher toh murrh ke dobaara dekha hee
nahi, phir bhi badiya tha woh 'Life of PI';
kisko kab kya 'Rog' ho jaaye, kisiko nahi hain
pataa, 'Yeh Saali Zindagi' aisi hee hain BHAI.
'Madaari' ka 'Karwaan' hain
yeh, yeh mat BHOOL;
naa jaane kitne 'Knock Out' ho gaye, jab
maidan mein ladhne aaye teh 'MAQBOOL.'
'Qarib Qarib Singlle' ho,
padhe ho kya kabhi
woh kitaab, 'The NAMESAKE';
kabhi kabhi 'Blackmail' bhi hota hain, kyon
ki aksar 'Life in a Metro' mein, yeh pyar,
mohabbat jyadatar hote hain FAKE.
'Hindi Medium' ya
'Angrezi Medium' naa
shikhao ussey, 'Piku' ka
dost hain yeh 'BILLU';
haathon mein 'Talvar' nahi, par daudta
hain 'Paan Singh Tomar' jaisa, aur gale
ki awaaz sunke laagta hain ki, yehi
hain Mowgli ka pyara dost, BALOO.
Naam ish sahabzaade
ka hain 'IRFAN';
abhinay ki duniya mein inhko hum
kahete hain, 'Karamati KHAN'."- Arindam Sain