Wednesday, March 8, 2017

VASANT WRITU KE ISH DIN MEIN, YEH BAARISH KYON HUI ACHANAK !!!

"'Vasant Writu ke ish din 
mein, yeh baarish 
kyon hui ACHANAK; 
yeh baarish ki boondein, 
yaad dilaati hain tumhari, 
aur mera dil bhi kare dhak DHAK.' 

'Ish mausam ko 
kyon deti ho DOSH; 
jab mujhe tum dekhte ho toh 
tumhare urh jaate hain HOSH; 
phir bhi tum 
kyon ho KHAMOSH; 
mard ho tum, aakhir dil mein saccha pyar hain 
toh jaagao woh sacchey pyar ki JOSH.'
 
'Tumhari yeh baatein sunney ke baad 
mera dil hua RANGOLI; 
ish Holi ke din, tumhari pitaji se tumhari haath 
maang lengey aur khelenge HOLI; 
dil mein jab saccha pyar hain toh 
khamosh bhi rahein aakhir kab TAK; 
Vasant Writu ke ish din mein, 
yeh baarish kyon hui ACHANAK.'" - Arindam Sain

No comments:

Post a Comment