Friday, January 25, 2019

JAI JAWAAN, JAI HINDUSTAN; VEER HAIN HAR HINDUSTANI NAUJAWAN !!!

"Jai Jawaan, Jai HINDUSTAN; 
veer hain har Hindustani NAUJAWAN; 
aur karte hain raksha Hindustan ki 
zameen, samudra aur AASMAAN; 
jab tak ish naujawaan 
mein hain JAAN. 
Apni maatribhoomi ki raksha karne ke 
liye, shatru o ke khilaaf koi jung mein, 
jaaye toh, jaaye apni JAAN; 
Bharat ki veerta ke itihaas ke kitaab ke 
panne mein likha jaata hain swarnakshar 
mein har shahid ki naam aur 
pujoniyo hain har yeh BALIDAAN. 
Gawah hain khuda, 
gawah hain BHAGABAN, 
gawah hain Hindustan ki awam, 
gawah hain yeh saara JAHAAN; 
ki yeh Bharatiya Sena, Vaayusena aur 
Nausena sarbada hain taaiyar 
raksha karne ke liye yeh HINDUSTAN. 
Desh ki raaksha mein 
kabhi bhi jaa sakti hain 
kisi ki bhi PRAAN; 
par sainik o ko phir bhi ladaai 
karna hain, chorh nahi sakte 
woh yuddh ki MAIDAN; 
shatru o ka vinaash kar ke desh 
ki seema ko raksha karne se hee, 
badhti hain Hindustan ki SHAAN. 
Jai Jawaan, Jai HINDUSTAN; 
veer hain har Hindustani NAUJAWAN."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment