BINDAAS BADMAASH !!!
Written by: Arindam Sain
"Teri gali mein aaj ANDHERA;
par yahan se aasman mein dikhe TARA.
Kaal ho gayi
teri SHAADI;
behroopiya bann ke aaya, phir
bhi pehchan liya teri DAADI.
Daadi ne boli, 'Arrey, beta,
aane mein bahut der KARDI;
har mahina tu jail jata hain,
chhorh de yeh GUNDAGARDI.'
Yeh policewalon ne jail ke andar
bahut maara hain DAANDA;
tere baap ne riswat diya hain inh logon
ko, taah ki hum ho jaaye THAANDA.
Logon ko bhale hee
hum dono ka saccha pyar
laage ekdum BAKWAASH;
par yeh dil ka mamla hain, mann mein than liya
tha, ki tere ko hum tere pati ke ghar se hee utha le
jayenge, kyon ki hum hain 'Bindaas BADMAASH'.
Par daadi toh
daadi hee hain,
jor se haaske BOLI;
'arrey woh toh shaadi hone se pehle hee
pata nahi kahan ho gayi gayab, woh bhi hain
bindaas badmaash, nahi hain ekdum BHOLI.'
Tere baap ne phir se laaga diya
aadmi mere peeche, bole toh,
ekdum waat laaga dala, aye YAARA;
yeh mobile phone pe hee
poori kahani sunegi kya, kahan
chhupi hain tu bata ZAARA ?
Accha, tu Premnagar railway station ke
platform pe kar rahi hain mere liye INTEZAAR;
tu toh hum se bhi jyada ziddi nikla re,
maan gaye tere ko, mere YAAR.
Wahan se jaayenge Dehradun, aur Arya Samaj
Mandir pe kar lenge shaadi, ish baar toh yeh
bindaas badmaash ki baat SUNO;
uske baad chhupne ke liye mere mama ke ghar
hain na Mumbai pe, wahich Mumbai pe, bole toh,
ekdum jhakkas rahenge hum DONO."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment