"Kabhi kabhar peeche
mudhke zaroor DEKHO;
purani woh suhani yaadein
zaroor yaad RAKHO.
Kaise chal kar aaye
hum woh RAASTE;
yun hee masti mein
haaste HAASTE.
Baash woh sunehri
yaadein hain rahe JAATI;
woh waqt phir kabhi
laut ke naa AATI.
Par har raat
ke baad aati
hain naya SAVERA;
dil ka darwaza khol ke
dekho, tumhare aaspaas
sab kuch hain kitna SUNEHRA.
Veer ho tum, badhao
agla kadam APNA;
aage nahi badhoge, toh
kaise poora hoga SWAPNA.
Itni dur joh badiya se chal ke
aaye ho, kya hoti nahi hain
kabhi khud ko yeh EHSAAS;
aaine ke saamne khada hoke dekho,
woh insaan toh tum hee ho, jisne khud
likha hain apna ITIHAAS."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment