"Zaroori nahi hain ki har baar
har koi karein koi CHAMATKAAR;
ek rang manch hain yeh zindagi aur yahaan
sab log hain apni kismat ki KALAAKAAR.
Kabhi feesla, toh
kabhi yeh dil KHOEYA;
kabhi saari saari raat, yeh
aankh bilkul naa SHOEYA.
Rab ne kabhi MILAAYA;
toh kabhi bichharh ke bhi RULAAYA.
Phir bhi naa rukey
hain yeh dard-e-dil ki
dhadkanein aur BAATEIN;
kyon ki yeh rang manch hain rangeen,
naajane kab kahaan kaise, kish se
ho jaaye phir se MOHABBATEIN.
Kaal kisne hain DEKHA;
har aashiqui ke kisse hain ANOKHA.
Apne hee dhun
mein hoke magan,
jiyo masti mein har PAL;
swaad badalti raheni chahiye, kabhi
khaao 'Biryani' yaa 'Fried Rice',
toh kabhi 'Rajma CHAAWAL'."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment