Friday, May 31, 2019

ANAMIKA HOTI HAIN KUCH MOHABBAT KI RISHTEY; KAANTON BHARI HEE SAHI, PAR GULAABI HOTI HAIN YEH PYAR KE RAASTEY !!!

"Jab se mila hain tumhari haaton se 
woh pyar ka GULAAB; 
naa jaane kyon tab se maine chorh 
diya hain peena SHARAAB. 
Yeh mann dikhne laage 
kitne saare KHWAAB; 
aur kyon na ho aisa, kyon ki tumhari 
khubsoorati hain LAJAWAAB. 
Kya suhaani barsaat ki raat 
thi woh, thodi si lassi, 
thoda sa KEBAAB; 
maano jaise ek shehzaadi ke 
mohabbat mein magan 
koi aashiq NAWAAB. 
Samay ke saath saath 
baane hum tumhari 
bacche ke BAAP; 
koi bhi pyar toh, pyar hee hoti hain, 
issey badnaam naa karo 
kaheke ussey, PAAP. 
Samaaj ke saamne, shaadi nahi hui 
toh kya, yeh dil toh maanti hain 
tumhe aapni BEGAM; 
dur ho tum mujhse kitni, 
phir bhi baajti hain 
dil mein pyar ki SARGAM; 
aur bhoola deti hain 
yeh roz ki bhaagdaud ki zindagi 
ki saare GAM; 
bhagwan se yehi dua hain 
ki, yeh mohabbat hamaari 
kabhi na ho KAM; 
bacchey toh jawaan ho gaye hain, 
chalo dono mil ke phir rahein eksaath 
jab taak yeh saasein naa jaaye THAM. 
Anamika hoti hain kuch 
ajeeb mohabbat ki RISHTEY; 
kaanton bhari hee sahi, par gulaabi hoti 
hain yeh pyar ki RAASTEY."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment