Sunday, July 28, 2019

HO TUM VEER, LIKHTEIN HO APNI TAQDEER; PHIR BHI KHAA LETE HO SWADISHT KHEER, AUR PEHEN LETE HO SAATH PHEREY KI ZANZEER !!!

"Hum sabhi koshish toh bahut 
karte hain ki khud hee 
likhein apni TAQDEER; 
maidan-e-jung mein aisa ladhai 
karte hain ki log kahete hain, 'dekho 
aaya hai bahubali, aaya hain VEER'.' 
Phir bhi kaal kya hoga, 
yeh kisi ne JAANA; 
naa jaane kab kahan kaise hum aur tum 
kisi din ho jaayenge Anjaani aur ANJAANA; 
aasmaan mein udhta hua panchi 
ka nahi hain koi sahi THIKANA; 
par agar yeh mohabbat saccha hain, 
toh zaroor aake mujhsey TAKRAANA; 
hum bhi toh dekhe kitni hain dum 
tumhari andar, jissey dekh kar 
hum ho jaaye DEEWANA. 
Apne Dil ko apni dimaag ke 
kaalpanik tijori mein 
zaroor RAKHNA; 
kyon ki aksar ladkiyan bolti hain ki, 
'Jaanu, tumse milne ke baad, sahi mein 
muskil hoti hain yeh dil ko SAMBHALNA'. 
Par humko nahi aata hain 
mohabbat ki bhasha BOLNA; 
par ladkiyon ko khub aati hain 
mohabbat ka haar cheez SHIKHANA. 
Mohabbat ki maahol 
aisa ho jaati hain ki maano 
kha rahi ho koi swadisht KHEER; 
par dheere dheere, jab le liye ho 
saath pherey, hai rabba, pehen liye ho 
ek adrishya ZANJEER."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment