"'IBA' khaali deti hain
taarikh pe TAARIKH;
jaise ki PSU bankwaale
maang rahe hain koi BHEEKH.
Aakhir kab tak PSU bankwaale karenge 2017
saal ka 'Bipartite Settlement' ka INTEZAAR;
kya har samay raheti hain kharaab,
yeh Hindustan ki arthnaitik BAZAAR.
'Jan Dhan Yojana' ho, 'Demonetization' ho, yaa
ho 'Corona Lockdown', yehi PSU bankwaalon
ne ush samay kiye hain sab se accha KAAM;
ek 'dhanyabaad' doh bol diye, aur 'Banking
kshetra' ka sabaasi bhi khud hee le liye, par
bankwaalon ko aakhir nahi mila koi bhi INAAM.
Bank o ka jab hota hain merge, tab kya
nahi hoti hain bekaar ka KHARCHA;
jab 'Bipartite Settlement' ki baat aati hain, tab
khaali hoti ee raheti hain 'Chaaye pe CHARCHA.'
Itna jyaada bhi nahi hain
PSU bankwaalon ki maangein,
hain bahut hee KAM;
par dekho yeh gajab tamasha, khushi toh
dur ki baat hain guru, chaaron taraf khaali
dikhey maayushi aur GAM."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment