Friday, November 20, 2020

PYAASA HOON MAIN TUMHARI PYAR KA, DEKHNE KE LIYE TUMHE, YEH AANKHEN JAATI HAIN TARAS !!!

"Roz chalti ho apni gaaon 
ki nalkuye ki orh, apni 
sarh pe liye KALAS; 
paani ke liye nahi, pyaasa 
hoon main tumhari pyar ka, dekhne ke 
liye tumhe, yeh aankhen jaati hain TARAS. 
Yeh zaalim duniya ki logon ka kya, 
kahete hee rahete hain, yahaan ke 
log kahete ke hum ko KAMINA; 
ek tarfa hee sahi, phir bhi tumhare liye 
yeh mohabbat shikha rahi hain humko 
sharafat ki zindagi JEENA. 
Tumhre chota bhai, Chintu ke haathon 
bheje teh hum ek chitthi aur 
ek gulaab ke PHOOL; 
ulta ek chitthi bhejh diye tumne ki, tumko 
mere jaisa pagal nahi hain pasand, 
nahi kiya mere pyar ko QABOOL. 
Aab yeh hain mera doosra chitthi, 
dhyaan se padh LENA; 
pata nahi kab, kyon aur kaise, yeh 
dil tumhare liye ho hee gaya DEEWANA. 
Woh sarpanch ke 
ladke se toh hum hain 
bahut hee ACCHE; 
maana ke, ek sanstha ke liye karte hain 
hum wasooli, thoda gundagardi kar ke, 
phir bhi dil ke hain hum ekdum SACCHE. 
Tumhare baap hain 
ekdum SHARAABI; 
isiliye tum logon ke ghar 
mein abhi bhi hain GARIBI. 
Sarpanch aur uska 
beta utha rahe hain 
ish garibi ka 
nazayaz FAAYEDA; 
tumko bhaaga ke le jaane ke liye, hum 
hain taiyaar, kisse shaadi karna chahti ho 
tum, ek chitti likh ke bataao, aakhir tumhari 
mann mein kya hain IRAADA."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment