"LADKI: 'Ish veeran qiley
ki chath pe aa jaate hain hum,
jab bhi mera mann ho jaati hain UDHAAS;
pataa nahi kyon, charon taraf se gheraa
huya yeh parvat dilaata hain hum ko
ek ajeeb zindagi ki EHSAAS.
Gaaonwale kahete hain,
ki raat ko, ish qiley
mein sunaai deti hain
ghungroo aur gaane ki AWAAZ;
Maharaj ki nartaki raheti thi yahaan aur Maharaj bahut accha gaana gaate teh, par kaise ek raat ko dono ka hee dehaant ho gaya idhaar,
bahut logon ko pataa nahi hain iska RAAZ.'
LADKA: 'Isiliye toh 'Pyar ka Qila' kahete
hain ish qiley ko, par galti se kabhi
bhi raat ko yahaan mat AANA;
Maharani ne Mahamantri ke saath
sharayantra kar ke, maar diya Maharaj ko
aur maare bhi gaya teh unka nartaki, MEENA.
Phir Mahamantri baith
gaye takht par, kar ke
Maharani se SHAADI;
ussi saal, ek jung mein maara gaya
woh Mahamantri, aur Maharani ke
jeevan mein aa gayi BARBAADI.
Senapati ko jab pataa chala ek jassos se, yeh
sab sacchai, uska huya bahut ee boora ASARH;
rajya ke sabhi sainik bhi gussey mein teh, aur
Senapati ne ekdin kaat diya Maharani ka SARH.'
LADKI: 'Agar Maharaj ko
Maharani se saccha pyar MILTAA;
toh Maharaj sacche mohabbat ki
talaash naa KARTAA.
Wafadaar Senapati baane
aglaa Raja, aur naam rakha
ish qiley ka, 'Pyar ka QILA';
aaj achaanak mera haath pakad ke, ek chummi
de diye, kya ish qiley se hee shuru karenge,
hum dono ki pyar ka SILSILA !'"- Arindam Sain