Sunday, August 16, 2020

ISILIYE TOH 'PYAR KA QILA' KAHETE HAIN ISH QILEY KO !!!


"LADKI: 'Ish veeran qiley 
ki chath pe aa jaate hain hum, 
jab bhi mera mann ho jaati hain UDHAAS; 
pataa nahi kyon, charon taraf se gheraa 
huya yeh parvat dilaata hain hum ko 
ek ajeeb zindagi ki EHSAAS. 
Gaaonwale kahete hain, 
ki raat ko, ish qiley 
mein sunaai deti hain 
ghungroo aur gaane ki AWAAZ; 
Maharaj ki nartaki raheti thi yahaan aur Maharaj bahut accha gaana gaate teh, par kaise ek raat ko dono ka hee dehaant ho gaya idhaar, 
bahut logon ko pataa nahi hain iska RAAZ.'

LADKA: 'Isiliye toh 'Pyar ka Qila' kahete 
hain ish qiley ko, par galti se kabhi 
bhi raat ko yahaan mat AANA; 
Maharani ne Mahamantri ke saath 
sharayantra kar ke, maar diya Maharaj ko 
aur maare bhi gaya teh unka nartaki, MEENA. 
Phir Mahamantri baith 
gaye takht par, kar ke 
Maharani se SHAADI; 
ussi saal, ek jung mein maara gaya 
woh Mahamantri, aur Maharani ke 
jeevan mein aa gayi BARBAADI. 
Senapati ko jab pataa chala ek jassos se, yeh 
sab sacchai, uska huya bahut ee boora ASARH; 
rajya ke sabhi sainik bhi gussey mein teh, aur 
Senapati ne ekdin kaat diya Maharani ka SARH.'

LADKI: 'Agar Maharaj ko 
Maharani se saccha pyar MILTAA; 
toh Maharaj sacche mohabbat ki 
talaash naa KARTAA. 
Wafadaar Senapati baane 
aglaa Raja, aur naam rakha 
ish qiley ka, 'Pyar ka QILA'; 
aaj achaanak mera haath pakad ke, ek chummi 
de diye, kya ish qiley se hee shuru karenge, 
hum dono ki pyar ka SILSILA !'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment