Tuesday, August 4, 2020

GARV SE BOLO, JOR SE BOLO, JAI JAI RAM, JAI SHRI RAM !!!

"Dasharath putra, Ayoddha Raja 
kaa kya hain NAAM; 
garv se bolo, jor se bolo, 
Jai Jai Ram, Jai Shri RAM. 
Sita se huyi shaadi, jab 
Kausalya putra ne toraa 'PINAKA'; 
Manthara ne boli Kaikeyi ko, 
ki yehi hain sunehra MAUKA. 
Dasharath torh naa saake khud 
ka hee kshatriya PRATIGYA; 
Ram ne maana apne 
pitashree ki AAGYA. 
Ram ke saath Sita bhi chale vann 
ki taraf karne VANAVAAS; 
Lakshman bhi apne pyare bhaiya ke saath 
chale, chorh ke Ayoddha ka RAJNIVAAS. 
Jab Surpanakha ki kaat gayi naak, 
tab woh apne bhaiya ko boli, 
ke Sita hain bahut SUNDARI; 
Karan ko kabhi bhool naa paaya 
hain Kunti, toh Janaki ko kaise 
bhool sakti thi MANDODARI. 
Soney ka hiran ka kam ee tha AAYU; 
ek jung mein apni jaan de diya JATAYU. 
Sugriv baane Raja, kyon ki 
ek dangal ke waqt, ek vaan ke 
kaaran, mar gaya tha BALI; 
poore vaanar sena, Lankesh Raavan 
ke khilaaf ish jung mein huye 
saamil, kahe ke, 'Jai BAJRANGBALI'; 
jung jeetne ke baad, jab Ram aaye 
waapas Ayoddha mein, Sita ko le ke, 
tab se shuru huya 'DIWALI'. 
Ram Rajya mein 
sabhi teh KHUSH; 
Ram aur Sita ke do suputra 
ka naam tha Luv aur KUSH. 
Paanch august do hazaar beesh 
ko hogi Ayoddha ke Ram Mandir 
ki bhoomi PUJAN; 
saare viswa mein puja hogi, shath shath 
naman sweekar kare, aye viswa ke sabse 
mahaan puroshottam RAJAN."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment