Saturday, January 25, 2020

BHARAT MAATA KE SURAKSHA KE LIYE, BHARAT KE SEEMA PE DAINIK; TAINAAT HAIN HUM DUMDAAR, DABANGG AUR DILDAAR HINDUSTANI SAINIK !!!

"Bharat Maata ki suraksha ke liye, 
Bharat ke seema pe DAINIK; 
tainaat hain hum dumdaar, dabangg 
aur dildaar Hindustani SAINIK. 
Kashmir se le kar 
Kanyakumari TAK; 
Kutch aur Diu se le kar 
Kohima aur Dibang TAK; 
watan ki raksha karte hain hum 
apni aakhri dum TAK. 
Samandar ke tale koi 
Submarine ho, yaa aasmaan mein 
udhta hua koi hawaai JAHAAJ; 
ya ho koi yuddh ki tanker, 
ya ho koi yuddh ki bunker, 
sabhi mein humlog karte hain RAJ. 
Rashtrapati ke 
har aadesh 
ka karte hain PAALAN; 
goli se jawaab zaroor detey hain 
Pakistaniyon or Chini o ko jab karta 
hain woh log niyam o ka ULANGHAN. 
Har saal prajatantra diwas ke 
afsar par hum Rajpath mein 
dikhaatey hain hamaari SHAAN; 
doosre desh ki atithi aate hain aur 
saari duniya ke log bhi karte hain 
Bharatiya Sainik o ko SAMMAN. 
Agar hain tum mein dum aur deshprem, 
toh baano Bharatiya Sainik, 
yeh mere NAUJAWAAN; 
Hindustan ko surakshit aur shaktishaali 
karne ke liye, garv se bolo, 'Jai Hindustan, 
Jai Bharatiya JAWAAN'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment