Wednesday, January 8, 2020

DIL HO JAATI THI SHAAYRANA, JAB CHALTI THI WOH KOLKATTA KA TRAM; BAGAL MEIN TUM BAITHTHI THI HAR DIN, WOH SAFAR MEIN MOHABBAT BHI THI AUR THI AARAAM !!!

"Dil ho jaati thi shaayrana,
 jab chalti thi woh 
Kolkatta ka TRAM; 
bagal mein tum baiththi thi 
har din, woh safar mein mohabbat 
bhi thi aur thi AARAAM. 
Sabhi log bus ya 
auto pakadhta tha 
hamare vidyalay mein 
jaldi pouchne ke LIYE; 
par hum dono adha ghante pehle nikalte 
teh, aur ek jagah pe samosa ya dahi vada 
khaane ke baad, woh majaak kar ke kaheti 
thi, 'Aab toh vidyalay ke taraf CHALIYE.' 
Aaj ke din mein 
sab bhaag raha hain 
har din samay 
ke saath SAATH; 
par woh tram toh dheerey hee chalta tha, 
aur samay ka koi parwaah hee naa karte 
teh hum, kyon ki woh pakad ke 
baiththi thi mera HAATH. 
Ush samay, tippani bhi hoti thi, kuch log 
kahete teh, 'O dekho, jaa raha hain 
Gopi aur uska RADHIKA'; 
hum toh kuch bolte nahi teh, par woh 
kabhi kabhi palat ke suna deti 
thi, 'Abbey teri maa KA.' 
Shaam ko jab tram se hee ghar laut te 
teh eksaath, woh jyaada karti nahi thi 
koi bhi SAWAAL; 
mera haath pakad ke, khidki ke 
baahaar prakriti ko dekhti thi, 
khulkey aapni sarh ki saari BAAL. 
Samay ruk ruk ke 
chalti thi, par ush 
mein tha ek alag hee 
mohabbat ka MIZAAZ; 
aab toh ishq chorho, shaadi ki rasham 
bhi itna jaldi jaldi khatam karta hain, 
ki koi maanta hee nahi woh 
puraana reeti aur REWAZ. 
Abhi bhi koi bhi tram dekhta hoon, 
toh yaad aahi jaata hain 
woh sunehri DIN; 
aisa nahi hain ki, 
dono ka nahi kaat rahi hain 
zindagi dono ke BIN; 
par bachpan 
ka pehla pyar 
hee hoti hain 
aasli PYAR; 
miyaan bibi na bann sakey toh kya hua, 
woh sunehri pal ki yaadein hamesha 
raheti hain, aur raheti hain 
yaariyan, mere YAAR."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment