Thursday, January 23, 2020

HAMESHA RAHENGE HUM AISE HEE BINDAAS !!!

"Guruji ne bola, 'Suno yeh mere 
shisya, suno yeh RAAZ; 
Laxmi Devi hain tum se 
thodi si NARAAZ; 
kyon ki tumhe Saraswati Devi ne 
saayed hee diya hain koi ek VARDAAN; 
isiliye bhaggya tumhara saath nahi deta 
hain, aur tum ho jaate ho PARESHAAN. 
Dimaag paaya hain tumne 
Mahadev jaisa bholebhala par 
hain bahut ee GUSSAWALA; 
par dil hain ekdum Murli jaisa, isiliye 
ladkiyaan jab bhi paas aana chahey, 
laaga do apni dil ke dwaar pe TAALA. 
Yeh nahi kahe rahein hain 
ki rahe jaao saari umar, 
baal BHRAMACHAARI; 
rahein bhi nahi paaoge, kyon ki 
jaahan bhi jaaoge, pyar tumhe 
zaroor karegi koi na koi NAARI. 
Jyotishvidya ko tum 
maano ya na MAANO; 
par tumhari kundli mein yehi likha hain, 
yeh sab baatein isiliye dhyaan se SUNO. 
Har din do baar kiya karo danthmanjan, 
kyon ki daanth tumhare bahut 
jald hee ho sakte hain KAMZOR; 
bahut paidal chala karo har din, dil ko 
shusth raakhne ke liye, kyon ki, 
pairon mein tumhare hain bahut ZOR. 
Hamesha har jung 
jeetne ki hain BHUKH; 
jaante bhi ho kaise kahan kahi pe paana 
hain mastibhari aaraam aur SUKH. 
Pyar sirf unh ladkiyon 
se hee karo, joh karein 
tum ko aasli PYAR; 
kyon ki aajkaal ki ladkiyaan 
toh aapni aashiq ke upar bhi 
kar deti hain peechey se VWAAR.' 

Shisya ne bola, 'Guruji, Kundli mein 
likha hua kuch kuch baatein kabhi 
kabhi sahi bhi hoti hain, yeh baat 
ki hain mujhe EHSAAS; 
par yeh zindagi ko hum aapni 
dhang se jeetey hain poora masti 
mein, aur hamesha rahenge 
hum aise hee BINDAAS.'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment