"Pyar toh tabhi sangeet hoti hain,
jab apni zindagi ko aap banaalo SARGAM;
kisiko kya khabar, ke kab kahaan kaise,
uparwala karwaade aap ka SANGAM;
baash aagey badhte rahiye aur zindagi
ka mazaa lijiye, chahe khushi ho ya GAM.
Geerna, fishalna, yeh sab toh hoti hee RAHEGI;
tabhi toh itni majedaar hain yeh ZINDAGI.
Ekbaar koi jung kya haar gaye,
wahi par ruk mat jaana GURU;
kyon ki wahi pe hee tumko shikh milegi, ki
aagle jung ki taiyaari kaise karna hain SHURU.
Kabhi kabhi kharab gendbaaz bhi bade
bade ballebaaz o ko de deta hain DHOKHA;
karo intezaar barkhurdaar ek bhi kharab
gend kaa, aur maar do chauka ya CHAKKA.
Ish duniya ka koi
bhi darwaaza hamesha
ke liye nahi raheti hain KHULI;
doosra darwaaza kholne ke liye,
jwalayiye apni dimaag ki batti,
woh dimaag nahi raheni chahiye KHAALI;
tabhi toh hoga 'Naya Bharat' ka
nirmaan, tabhi toh veeran registhan
mein bhi aayegi HARIYAALI."- Arindam Sain
No comments:
Post a Comment