Saturday, September 28, 2019

AYE 'HINDUSTAN KI BULBUL', AAP KO KARTE HAIN NAMAN AUR SALAAM; 'LATA MANGESHKAR' HAIN AAP KA NAAM !!!

"'Kahi deep jwale, 
kahi DIL', 
phir bhi itne saalon ke baad, 
'Gaata rahein mera DIL'. 
'Lukachuppi bahut hui, aab saamne 
aa jaana, kahaan kahaan dhoonda tujhey, 
thaak gayi hain aap teri MAA.' 
28.09.2019 ke din, 90 saal ki umar huyi 
hain joh 'Mageshkar Lata' ji ki, unki 
aasli naam hain 'Hardikar HEMA'. 
'Ajeeb dastaan hain yeh, 
kahaan shuru kahaan KHATAM'; 
Sangeet se itna 'Pyar kiya, toh darna kya', 
samjhey aye 'MUGHAL-E-AZAM'; 
yeh 'Dil hoom hoom karein' kyon ki duniya 
sadaa rahegi, 'Satyam Shivam SUNDARAM'. 
'Laag ja gale, ki yeh haseen raat 
phir ho na HO'; 
kyon ki aakhir tut hee jaata hain, 
'Seesha ho ya Dil HO'. 
'Mangaldeep jweley, 
andhokaar e du chokh 
aalo e bharo PRABHU'; 
koi bhi puja ho, Bangabhoomi mein 
baajta hee hain yeh gaana, 
hey 'Bhole Baba Shiva SHAMBHU'. 
Jab tumhari premika gaati hain 
yeh gaana, 'Ami je ke tomaar, 
tumi taa bhujhey NAAO'; 
tab samajh lena ki kinare se 
nadi ki taraf chal padi hain 
tumhari prem ki NAAO. 
'Mere khwabon mein jo aaye', 
kya kabhi samne 
aayega woh SANAM; 
'Aye mere watan ke logon,' 
'Jaana hain taaron se aagey, aab naa 
rukenge hum, VANDE MATARAM'. 
'Bazaar' mein, 'Dikhayi diye yun, 
ki bekhud kiya,' par yeh duniya 
judaai kar DAALA; 
par 'Naino mein sapna, sapno mein 
sajnaa, sajnaa pe dil aa gaya', 
kyon ki woh tha 'HIMMATWALA'. 
'Dil toh pagal hain', 
kyon ki 'Didi tera 
devar DEEWANA'; 
Dada ji ki peeri se le kar 
aaj ke peeri tak, sab ne sunaa hain 
aap ka gaaya huya GAANA. 
Aye 'Hindusthan ki Bulbul', aap ko 
karte hain naman aur SALAAM; 
'Lata Mageshkar' hain 
aap ka NAAM."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment