Saturday, September 7, 2019

BAASH KUCH HEE RAHEIN GAYI THI DOORI; PAR YEH 'CHANDRAAYAN PROJECT' NAA RAHEGI ADHURI !!!

"Baash kuch hee 
rahein gayi thi DOORI; 
par yeh 'Chandraayan Project' naa 
rahegi kabhi ADHURI. 
Arrey Sivan Saheb aur unki team 
ke baiggyanik o, mat ro, mat RO; 
kyon ki sadiyon se ish Bharat desh 
ki shaan hain yeh 'ISRO'. 
Kyon, thik apni gantabya se kuch hee 
kilometres ki doori par yeh 'Vikram' se 
satellite ka sampark hain TUTI; 
'Koi toh hain' ush Chaand mein, 
yeh kahaani nahi bhi 
ho sakti hain JHOOTI. 
Hamaare pyare 
Chanda mama ke 
paas ghumney gayi hain 
'Vikram' aur 'PRAGYAN'; 
joh log ish mein bhi rajneeti khojte hain, 
unhe humlog bataa dete hain, ki garv hain 
humein ki itni unnati ki hain 
yeh Bharatiya BIGGYAN. 
Aaj 'Prithvi' ki jo hain yeh 
vartaman kharab STHITHI; 
ekdin 'Chand' aur 'Mangal' mein naya 
ghar banaane ki aayegi PARISTHITHI. 
Koi bhi baiggyanik jab koi naya cheez ko 
khojta hain, poore dil se khojta hain, isiliye 
unh logon ki khoj par naa karein 
koi bhi rajnaitik TIPPANI; 
desh ki ek rajya ki janata ne ek kursi 
par baithne diya hain, iska matlab 
yeh nahi, ki kuch bhi bologi 
aur karogi SHAITANI; 
duniya ke bibhinna deshon ki baiggyanik 
issi khoj mein lagaa huya hain ke, 
kisi bhi tarah 'Chaand' aur 'Mangal' 
mein mil jaaye PAANI. 
Joh log 'Biggyan' aur 'Baiggyanik' o ki 
kadar aur samman deta hain aur aagey 
badhne ki utsaah detaa hain, 
woh log hee hain asli 'ADHUNIK'; 
ekdin aisa aayega, jab Bharaitya log 'Chaand' 
aur 'Mangal' mein apni 'Space City' 
banaayengey aur 'Space Tourism' business 
bhi chalegi ekdum THIK."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment