Sunday, September 29, 2019

EKDIN HUM BHI HO JAAYENGE AAP KE JAISA PARADARSHI; KI APNI SOCH HOGI BILKUL HEE DURADARSHI !!!

"Shishya ne bola: 'Guruji, yaad nahi hain, 
kya hain meri RAASHI; 
par hum suney hain ki, 
aap ho ek RAJ-JYOTISHI. 
Jyotish shastra par 
nahi hain VISWAAS; 
phir bhi dekhiye mera haath, aur dijiye 
thoda sa ish jyotish vidya ka EHSAAS.' 
Guruji ne bola, 'Viswas karo ya na karo, 
yeh tumhari MARJI; 
par ek Guru hone ke naate zaroor 
rakhenge apne shishya ke ARZI. 
Prasanna hain tumhrey upar 
Maa Saraswati, de bhi sakti hain 
tumhey koi VARDAAN; 
Maa Lakshmi toh zaheer hain ki rutha 
hain tumse, isiliye jab bhi koi khubsoorat 
ladki pe dil aa jaaye, ho jaao SAAVDHAAN. 
Kisi ek se tumhara 
dil naa BHAREGA; 
isiliye ishq ka maahol writu ki tarah 
har saal badalta RAHEGA. 
'Pyar' aur 'Prakriti' sadaa rakhengey 
tumhey KHUSH; 
aur tum apni lekhani se kar dogey 
aur logon ko ekdum, 'DILKHUSH'. 
Jaahan bhi jaao, wahaan pe 
rukna hain MAANA; 
aagey badhtey hee rahena hain, kyon ki 
tumhey bahut dur hain JAANA.' 
Shishya ne bola, 'Guruji, ekdin hum bhi 
ho jaayenge aap ke jaisa PARADARSHI; 
ki aapni soch hogi 
bilkul hee DURADARSHI.'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment