Saturday, October 26, 2019

BAANOGI TUM EKDIN MERI GHARWALI; AAO ISH ANDHERE MEIN EKSAATH MAANAYE DIWALI !!!

"Andhera hain andhera, 
charon taraf ANDHERA; 
kaun yahaan hain kis ka, kis ka hain 
kaun, kya rishta hain tera aur MERA. 
Har saal ashubh shakti ka vinaash karne 
ke liye, maanayi jaati hain DUSSEHRA; 
andheri raaton ke baad hee 
suraj ugta hain aur hoti hain SAVERA. 
Tum jaisi phool, bagichey mein ho, 
toh hum kyon naa baane 
ush baagichey ki MAALI; 
zaroorat padhne par, paani toh hum 
hee denge tumko, tumhari intezaar 
mein hain mera yeh chota sa HAVELI. 
Malad ka rahenwala hoon main, 
zyaada dur nahi hain tumhari 
rahene ki jagah, BORIVALI. 
Tumhare liye likhey hum shayari, 
gaaye hum kabhi rock, pop, 
ghazal aur QAWAALI; 
dil mein khwab jo dikhtey hain 
roz, ki baanogi tum 
ekdin meri GHARWALI; 
andhera hain andhera, kyon ki chaand 
chupha hain kahi, aao ish andhere mein 
eksaath maanaaye DIWALI."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment