Wednesday, October 23, 2019

HAR SAAL HOTI HAIN EK VIRAT MELA; JAHAAN HAR SAAL JAATI HAIN TEEN DOST, URMILA, SHILA AUR MALA !!!

'Canning ke Kali Puja mein 
hoti hain har saal, ek virat MELA; 
har saal ki tarah, issh baar bhi ush mele 
mein ghumne gayi Shila, Urmila aur MALA. 
Khareeda woh log rangi birangi 
churiyaan, phir kiye ek jagah pe 
baith ke bahut saare GAPPEY; 
papdi chaat bhi khaayi, 
khaayi garam garam jalebi aur 
dherh saarey gol GOPPEY. 
Gubbarey khareedey unh teen o ney 
laal, neela aur PEELA; 
mele ke bheerh mein kho gayi 
naa jaane kaise URMILA; 
mele ka micwala microphone le ke 
jor jor se bahut baar BOLA, '
Aa jaao idhaar 
jaldi URMILA, 
kyon ki intezaar kar rahi hain 
tumhari dost MALA, 
laal gubbare liye, aur Shila ke haath 
mein hain gubbare NEELA.' 
Micwala ka baath 
sunn ke 
haash utha GUBBAREWALA; 
kyon ki phir gayi hain Urmila ussi ke paas, 
ish baar khareedne ek gubbare, 
jiska rang hain KAALA. 
Gubbare toh udhti hain 
aasmaan mein, 
jab tak ush mein hain DUM; 
Mala, Shila aur Urmila ki dosti bhi aasmaan 
mein udhti hain teen panchi ki tarah 
har jagah pe HARDAM."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment