Wednesday, February 12, 2020

SHARAAB NAHI PEETEY HAIN, PHIR BHI HO JAATE HAIN HUM SHARAABI; JISH DIN TUM PEHEN LETI HO WOH VASTRA, JISKA RANG HAIN GULAABI !!!

"Sharaab nahi peetey hain, 
phir bhi ho jaate hain hum SHARAABI; 
jish din tum pehen leti ho woh vastra, 
jiska rang hain GULAABI. 
Pyar toh hum karte hain 
tumhe har ROZ; 
phir bhi tum gussa ho gayi jab chauda 
farbari ko, humne naa diya tumko koi 'ROSE'. 
Ek gulaab ke phool, 
wohi din mein dene se, 
thodaa ee hota hain PYAR; 
ishq ke liye koi ek pal, samay aur din thodaa 
ee hota hain, ishq toh ishq hain, bindaas 
karo kabhi bhi, kahi bhi, mere YAAR. 
Log sawaal abhi bhi 
karta hain, ki Rukmini 
toh asli bibi hain Krishna ka, 
toh phir Radha ko kya MILA; 
jisko pyar chaiye, woh sirf pyar se hee 
khush hain, ek saccha aashique hee 
jaane, kya hoti hain aashiqui, 
kya hoti hain prem ki RAASLEELA. 
Pyar toh, ek dil ke saath 
aur ek dil ka hain 
ek adrishya BANDHAN; 
saccha pyar agar naa mila, toh 
bekaar hain woh sab adalat ke 
kagaz, jaaydaat ya aarthik DHAN. 
Aaj phir se tum 
aayi ho gulaabi 
vastra pehenke 
mere SAAMNE; 
khulaa aasmaan ke neechey hogi 
khullam khulla mohabbat, aagey 
kya hoga anjaam, yeh toh sirf 
Bhagwaan hee JAANE."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment