Sunday, February 2, 2020

YEH HAIN APNA WATAN, HINDUSTAN; YEH HAIN HAMAARI SHAAN !!!

"Yeh hain apna watan, HINDUSTAN; 
yeh hain hamaari SHAAN. 
Azaadi ki jung nahi thi AASAAN; 
naajaney kitno ne diya hain BALIDAAN. 
Yeh hain apna watan, HINDUSTAN; 
yeh hain hamaari SHAAN. 
Yeh desh hain 
mera MAHAAN; 
desh ki suraksha ke liye 
haazir hain yeh JAAN. 
Yeh hain apna watan, HINDUSTAN; 
yeh hain hamaari SHAAN. 
Apni mitti ke raksha 
ke liye kabhi bhi, kahi bhi 
ho jaayenge hum QURBAAN; 
sab se pehle, Bharatiya hain hum, chahein 
padhein hum Bhagwad Gita, Adi Granth 
Sahib, Bible, Tripitaka yaa QURAN. 
Yeh hain apna watan, HINDUSTAN; 
yeh hain hamaari SHAAN. 
Apni yeh maatribhoomi ki raksha karna 
hee hain apna aasli dharam, aasli karam, 
apna khuda, apna BHAGWAAN. 
Azaadi kaayem rakhne ke liye, din raat 
sarhad pe chaukanna hain Bharatiya 
Sena ke har JAWAAN; 
Hindustan ko nayi uchaai tak 
le jaane ke liye aagey aaye 
aanewali peedi o ke NAUJAWAAN. 
Yeh hain apna watan, HINDUSTAN; 
yeh hain hamaari SHAAN."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment