Thursday, March 26, 2020

BAHUT DINO BAAD KHULI HAIN YEH KHIDKI; LAAGTA HAIN KI AAJ ACCHE MIZAAZ MEIN HAIN YEH GUSSEWALI LADKI !!!

"Bahut dino baad 
khuli hain yeh KHIDKI; 
laagta hain ki aaj acche mizaaz 
mein hain yeh gussewaali LADKI. 
Pataa nahi kaise 
achanak ho gayi thi uski 
yeh prem kahaani SHURU; 
naye naye aaye teh hum ish sahar mein, 
ek din ek public bus mein baithi thi 
mere bagal mein, yeh 'CHARU'. 
Hum teh 'ALLAHABADIAN'; 
aur woh thi 'INDIAN'. 
Aah ! nahi samjhe, arrey hum dono 
hee hain Hindustani, par dono alag 
alag bank o mein karte teh KAAM; 
shakha sanjuktikaran hone ke 
baad pata chaala ek doosre ko, 
ek doosre ka NAAM. 
Baatein hoti rahi office mein, 
thodi dosti bhi huyi, ekdin woh 
boli, 'Mika alakana ! Ninkal ORRAI !'; 
jab acchi mood mein raheti hain 
toh aapni maatribhasha mein najaane 
kya bolti hain yeh, 'Miss MADURAI' ! 
Phir boli, 'Ghar jaake isko padhna 
aur kaal mere ko jawaab dena' 
aur de diya mere ko ek KHAT; 
ghar jaa ke dekha ki woh hain prempatra, 
lo aab mere ko bhi banna hain 
kya doosra 'Chetan BHAGAT'. 
Humne naa bol diya, par Tamil ladkiya 
bhi Rajput aur Jat ladki ki tarah 
hoti hain bahut hee ZIDDI; 
hum jish ilaake mein ek bhaarey ke ghar 
mein rahete hain, thik ush ke ultey taraf 
ka makaan mein aapni pairh RAAKHDI. 
Hum bhi kam ziddi hain ke, 
usse baatein karna hee lagbhag 
kar diye teh BANDH; 
woh khidki bandh hee rakhti thi 
gussey mein, taah ki woh bhool saake 
hamaare dosti ka SAMBANDH. 
'Corona Lockdown' ke teesre din, woh 
kholi khidki aur boli, 'Mmmuah, 
naan unnay KAADHLIKKIREN; 
humne bola, 'Aaj, tumhari 
yeh pyar ko sweekar 
karta hain yeh, 'DHIREN.'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment