Friday, March 27, 2020

BANDH KARO YEH NAUTANKI, BANDH KARO YEH RONA DHONA; TUMHI LOGON NE TOH KIYE HO ISH GHOR KALYUG KA SUCHANA !!!

"MAANAV: 'Hey Bhagwan, 
yeh ghor kalyug hain, ish sankat 
se humlog o ko BACHAAONA ! 
Dekho yeh dharti ki haalat kya ho gayi hain 
Bhagwan, chaaron taraf maut ka mayajaal 
bichaa ke rakha hain yeh 'CORONA'.

BHAGWAN: 'Bandh karo yeh nautanki, 
bandh karo yeh RONA DHONA; 
tumhi logon ne toh kiye ho 
ish ghor kalyug ka SUCHANA. 
'Biggyan' ke zariye kiye ho tum 
manushya bahut ee acchey acchey 
kaam joh hain apurva aur AMULYA; 
par kuch badmaash baiggyanik o ki 
wajah se ghath thi rahi hain 'Insaniyat' 
aur 'Insaan ki jeevan' ki MULYA. 
Filhaal toh yeh sirf 
shuruwaat hain, 
kalyug khatam hone mein 
abhi bhi bahut 
samay hain BAAKI; 
talwar hain uske haathon mein, hain ek 
aswa aur ek totaa, kabhi dikhey kabhi rahe 
adrishya, aayenge zaroor 'dharam' aur 
'insaniyat' ka navajagaran karwaane, 
naam hain uska, 'KALKI'".- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment