Monday, November 25, 2019

BEETH JAATI HAIN YEH ANMOL WAQT; PAR YEH NADAAN ISHQ HAIN KAMBAKHT !!!

"Beeth jaati hain 
yeh anmol WAQT; 
par yeh nadaan ishq 
hain KAMBAKHT. 
Yaad dilaati 
hain ZAROOR, 
ki ek samay tum 
thi mere HOOR, 
aur main 
tumhari NOOR; 
hamari woh premkaahini 
thi bahut MASHOOR; 
naajaane kaise tuti woh bandhan, 
kya pataa kiska tha KASOOR ! 
Aaj Dumdum ki last 
Metro Rail ke andar 
huyi tumse MULAKAAT; 
socha tha ki karoon 
tumse koi BAAT; 
par tumhari bacchein aur 
pati thi tumhare SAATH; 
kuch saalon pehle, inhi Metro Rail 
ke andar baithte teh hum dono 
haaton mein raakh ke HAATH. 
Tum toh 
Esplanade mein 
hee utar GAYI; 
dil mein phir jaag utha 
wahi ishq joh itni 
saalon thi SOYI; 
sunaa hain ki hum jab tumse jhagra 
kar ke chalein gaye teh Bengaluru, 
tumne tab bahut thi ROYI. 
Metro Rail ke seat mein jahan 
tum baithi thi, wahi pe ek 
kagaz ka tukdaa MILA; 
usme tumne apni mobile number 
likh ke gayi ho, kahi phir se naa ho 
jaaye mera character DHEELA. 
Tumse break up hone me baad, 
mere dil pe kabza kar liya tha, 
tumhari bachpan ki dost, SHEELA; 
aab kya mein tumhare saath 
karoon chup chup ke, 
wahi puraani RAASLEELA ! 
Sahi mein, beeth jaati hain 
yeh anmol WAQT; 
par yeh nadaan ishq 
hain KAMBAKHT."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment