Sunday, November 24, 2019

KOI AUR AAYI HAIN MERE ZINDAGI MEIN FILHAAL; BHOOL GAYA HOON MAIN APNA BEETHA HUYA KAAL !!!

"Koi aur aayi hain mere 
zindagi mein FILHAAL; 
bhool gaya hoon main 
apna beetha huya KAAL. 
Tum chorh ke 
gayi thi MUJHE; 
mere ko paraaya aur apni puraani 
aashiq ko tum apna SAMJHE. 
Rahein gaya tha 
main bilkul AKELA; 
par mere dimaag ne 
thoda soch ke BOLA; 
'Dil ka darwaaza kholo aur dekho 
charon taraf hain ladkiyon ka MELA.' 
Aaj jab tumhari wohi puraani 
aashique ne maara 
hain tumhe LAATH; 
tab tum kahein rahi ho mujhe, 
'Ki phir se hum rahena chahte 
hain saath SAATH.' 
Mere dil ko dil hee samjho, 
samjho naa issey koi DHARAMSHAALA; 
sarh pe baal nahi hain, phir bhi 
superhit ho gaya, woh film, 'BALA'. 
Kiye tum mujhey 
bilkul hee NAZARANDAZ; 
aab hum nahi sunenge tumhari 
yeh nautankiwaali AWAAZ. 
Ek ko chorh ke 
jaise tumne doosre 
ko hain PAKDA; 
thik ussi tarah teesre ko pakdo, 
ghar mein bulaake aur phir 
khilaake chicken PAKODA. 
Tum samajhti ho 
sirf 'Mauj' aur 'MASTI'; 
par hum samajhte hain 
sirf 'Pyar' aur 'DOSTI'. 
Ekbaar tumne apni chaalaki se 
de diye mujhe DHOKA; 
phir se dobaara ullu baanaane ke liye 
naa dengey hum tumko koi MAUKA. 
Koi aur aayi hain mere 
zindagi mein FILHAAL; 
bhool gaya hoon main 
apna beetha huya KAAL."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment