Thursday, November 21, 2019

O MERI SHARMILEE, TERI YEH MULAAYAM GAAL GULAABI; AANKHON KI TERI YEH NIGHAEIN BANAA DE MUJHE SHARAABI !!!

"O meri sharmilee, teri yeh 
mulaayam gaal GULAABI; 
aankhon ki teri yeh nighaein 
banaa de mujhe SHARAABI; 
thoda shayarana dil mein 
kya aayi, log kahene laage 
mujhe koi KAVI; 
aankh bandh kar loon, toh kya, 
sapno mein bhi dikhta hain mujhe 
tumhari yeh khubsoorat CHAVI. 
Insaan hoon, yeh dil bhi fisaaltha 
hain kabhi KABHI; 
tumhari kabootar ne ek prem patra 
diya mujhe abhi ABHI. 
Prem patra ke ek panne 
mein tumne banaayi hain 
meri TASVEER; 
tumhari yeh chitrakala 
dekh ke, tum pe bilkul fidaa 
ho gaya yeh tumhari 'VEER'. 
Mere ghar ke aangan se 
urh nahi rahi hain tumhari 
yeh safed KABOOTAR; 
jaroor kuch chitti le jaane ko kaha hain 
isse, sahi mein, yeh Postmanwaali 
Panchi hain bahut chatur aur BEHETAR. 
Soch rahe hain kya likhe, 
par naa jaane kab 
bann gayi ek SHAYARI; 
milte hain aagle Ravivaar ko, Shiv 
Mandir mein, fihaal yeh chitti sweekar 
karlo, Rajkumari 'MAYURI.'"- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment