Sunday, November 17, 2019

USH DIN TUMHARI SAREE AUR BLOUSE KI RANG THI KESARI; SHAYAR NAA THA MEIN, PHIR BHI DIL MEIN AA GAYI THI SHAYARI !!!

"Ush din tumhari saree aur 
blouse ki rang thi KESARI; 
shayar naa tha mein, phir bhi 
dil mein aa gayi thi SHAYARI. 
Tum sahi mein 
kyon ho itni KHUSOORAT !; 
phir se dil ne awaaz diya, 'Janaab, 
kar lo phir se MOHABBAT.' 
Aajkaal toh 'pyar' se 
laage mujhe DARR; 
kyon ki daag rahe jaati hain, 
koi bhi seesha tut jaaye AGAR; 
yeh kambakht dil 
maanta nahi hain MAGAR; 
prem ki naiyaa ko akhir bulaa hee 
leta hain pyar ka SAGAR. 
Pyar mein 
itni hain GEHRAAI; 
ki baad mein mat kahena ki dobaara 
wahi galti tumne hain DOHRAAI; 
yeh dil bhi naa jaane ki kab kyon kahan 
aur kaise sirf tumhari hee yaad AAYI. 
Tumhari aur mere beech 
kyon hain itni pyar, yeh na 
main jaanu aur naa hee TUM; 
phir bhi pataa nahi dono ki mulaakaat 
hoteyi, dono ki dil uthti hain kyon 
itni khushi se JHOOM. 
Nahi bajaayi maine 
koi pyar ki BAANSHURI; 
phir bhi ajeeb jalwa hain yeh, ki hum bann 
gaye hain tumhari 'MOHABBAT-E-NURI'. 
Ush din tumhari saree aur 
blouse ki rang thi KESARI; 
shayar naa tha main, phir bhi 
dil mein aa gayi thi SHAYARI."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment