Tuesday, April 14, 2020

KAHIN 'DARD-E-ISHQ' KI AANSOO NAA DIKHEY, LAAGALO APNI AANKHON MEIN KAJAL; KAHIN 'DARD-E-MOHABBAT' KI DASTAAN DABI NAA RAHEIN, GAAO DIL KHOL KE KOI GHAZAL !!!

"Kahin 'Dard-e-Ishq' ki 
aansoo naa dikhey, laagalo 
apni aankhon mein KAJAL; 
kahin 'Dard-e-Mohabbat' ki 
dastaan dabi naa rahein, 
gaao dil khol ke, koi GHAZAL. 
Itne dino BAAD; 
mat karo humein YAAD; 
naa jaane kitne kiye 
hongey tum FARIYAAD; 
bhool bhi jaao woh waqt, jab tha 
hamare pyar ki ek BUNIYAD. 
Ek mele mein, peheli mulakaat 
mein sirf nazron se nazrein MILI; 
itni khubsoorat dikhti thi tum, sahi 
mein, jaise ho koi 'Kashmir ki KALI'; 
dono ke hee dil mein kuch kuch 
ho raha tha, kyon ki, dono ke 
hee dil tha KHAALI; 
main jish shikshak ke paas ganit padhne 
jaata tha, maloom na tha ki wahi hain 
hamare honewali premika ki GALI. 
Tum dekhti raheti thi 
mujhe aapni 
ghar ke khidki SE; 
aagle mahine, aa gayi tum 
wahi pe ganit padhne, ganit toh 
tum badiya kar leti thi WAISE. 
Baat yahaan ganit 
ki nahin, baat yaahan 
tha ishq KI; 
ganit shikshak ko bhi pata chal raha 
tha, ki, inh dono ki ganitvidya mein, 
aagey badh rahi hain AASHIQUI. 
Naajane kitne saal, kitne maahine 
aur kitne din gaya GUZAR; 
phir bhi yaad toh aati hain sab ko, 
woh pehle pyar ki pehli NAZAR. 
Humko bhoolne ki koshish 
itna bhi naa karo, ki phir se 
kar baitho humse PYAR; 
kyon ki 'Mohabbat-e-Dil' kabhi dimaag ki 
nahi hain suntaa, aur har waqt pyar karne 
ke liye raheta hain TAIYAAR."- Arindam Sain

No comments:

Post a Comment